Tere jaane ke baad.. Hindi poetry by Sonal Singh
Why has suicide become a common term these days? Why has the youth found it to be the most appropriate thing to do when situations aren't going the way they expected? Why can't we keep fighting? What is it that we think death would give us that life cannot? And who has given us the right to take away with us the happiness and smile of all those whom we call our loved ones? Don't you think there can always be another option if one door is closed? Yes there is always another way to choose, and if not, why not choose to switch your destination. One never knows where can his happiness he found.
This poem brings out that feeling, that emotion that stays with those who have lost their dear ones through this act of killing themselves. We can't talk to ones whom we have lost but we can at least try to save those who want to choose the same fate.
You can also watch this poem in the form of a video for a better experience.
Kisi ke bhai kisi ke bete the tum,
Mutthi bhar ko hi khatke hoge, na jaane kitno ke chahete the tum.
Fir chhod gye kyu uss parivaar ko,
Chhod gye kyu maa ke dulaar ko,
Gussa hi tha toh kahi rooth jaate,
Aansu kuchh der beh kar shayd sookh jaate,
Kam se kam kisika sabkuchh bikharta toh nahi,
Til til kar koi fir marta toh nahi,
Tere bistar ki chaadar, tere kamre ke parde shayad aage bhi dhulenge,
Tere aane ke intezaar mein darwaaze bhi khulenge,
Par tera kabhi aana hoga nahi,
Vaapis hasna aur gaana hoga nahi,
Koi dil hi dil mein khud ko kosega,
Toh koi din raat teri ek ek baat sochega,
Teri cheezein shayad sabko yaad dilaayegi,
Chhota tha toh isi mein khaata tha, ma sabko dikhaayegi,
Teri behen tab bhi rakhi utni hi layegi,
Teri kalaayi nahi par ab teri photo ko chadhaayegi,
Har ache bure haal mein tujhe ye sab yaad krenge,
Tu hota toh ye karta, tu hota toh vo karta sab ye khud se kahenge,
Par ye sab kar ke akhir mila kya?
Be maut yun mar ke aakhir mila kya?
Ma ki gode se zyada araam aur kaha paa gaya,
Zara si besabri mein sabko badnam akhir kyu karaa gaya,
Kya tujhse zyada koi aur pareshan nahi tha?
Kya maut se behtar koi anjaam nahi tha?
Kya ek haar se zindagi chhodi jaati hai?
Kya apni kamzori ki wajah se sabki himmat todi jaati hai?
Kya koi dard tera aansu ban kar beh nahi sakta tha?
Kya itna dukhi tha? Kya kisi se keh nahi sakta tha?
Mauka toh dete kisiko galti ka ahsaas karne ka
Haq toh dete unhe tere unpe vishwas karne ka,
Khud toh ab chle gye ho par sabki khushiyan saath na le jaate toh achha hota,
Apni motorcycle tum khud hi chalaate toh achha hota.
Insaan chala jaata hai muh mod kar par yaadein nahi jaati,
Apni yaadein bhi tum saath le jaate toh achha hota.
Written by:-
Sonal Singh
IT'S A REQUEST TO EVERYONE, SUICIDE IS NEVER AN OPTION, IT'S AN INJUSTICE THAT WE DO TO EVERYONE WHO LOVES US. JUST THINK OF THEIR SMILE ONCE IF THIS THOUGHT EVER COMES TO YOUR MIND.
AND TAKE HELP AS SOON AS POSSIBLE.
Let us take care of ourselves and come to such a position where these cases are not common to us anymore.
Comments
Post a Comment